hadsat

zindagi hadsat lagti hai
kitni chhoti si baat lagti hai

tang si kaenat lagti hai
mukhtasar jab hayat lagti hai

qaid-e-gham aur bandish-e-hasti
qaid mein guzri raat lagti hai

hasraton ke hujum mein aksar
zindagi mumkinat lagti hai

wo bhi aksar udas hote hain
har khushi jin ke sath lagti hai

ashk-bari na puchhiye hum se
aankh sawan ki raat lagti hai

lut leta hai gham khushi dil ki
mushkilon se jo hath lagti hai

mehrban honge wo kabhi mujh par
munh se nikli si baat lagti hai

zindagi aur zindagi ke gham
ek luti si baraat lagti hai

zindagi mukhtasar hai to kitni
ek bhuli si baat lagti hai

na-muradi si na-muradi hai
zindagi khai mat lagti hai

zakhm sine mein chhod jati hai
jo hansi iltifat lagti hai

maut ko muskuraate dekha hai
thartharai hayat lagti hai

kashmakash zindagi ki ai 'ashraf'
beja sa iltifat lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close