wo ek shakhs jis ki shabahat se mujh ko bahut khwar o sharminda hona pada tha qaba ruh ki malgaji ho gai thi kai bar daman ko dhona pada tha wo mujh jaisi aankhen jabin hont abru ki baqi na tha kuchh bhi farq-e-man-o-tu wahi chaal aawaz qad rang maddham wahi tarz-e-guftar thahrao kam kam khuda jaane kya kya mashaghil the us ke mere pas log aae aa aa ke laute kai mujh se uljhe kai mujh se jhagde main rota raha be-gunahi ka rona mere jurm par log the qahqaha-zan na kaam aaya apni tabahi ka rona wo zulmat mein chhup chhup ke din katta tha main din ke ujale mein mara gaya tha suna raat wo mar gaya kya ghazab hai use dafn kar aae logon ko dekho main kam-bakht nazron se ojhal hi kab tha ye kya kar diya hae logon ko dekho