sher hain chalte hain darraate hue baadalon ki tarah mandlate hue zindagi ki ragni gate hue aaj jhanda hai hamare hath mein hum wo hain jo be-rukhi karte nahin hum wo hain jo maut se darte nahin hum wo hain jo mar ke bhi marte nahin aaj jhanda hai hamare hath mein chain se mahlon mein hum rahte nahin aish ki ganga mein hum bahte nahin bhed dushman se kabhi kahte nahin aaj jhanda hai hamare hath mein jaante hain ek lashkar aaega top dikhla kar hamein dhamkaega par ye jhanda bhi yunhi lahraega aaj jhanda hai hamare hath mein kab bhala dhamki se ghabraate hain hum dil mein jo hota hai kah jate hain hum aasman hilta hai jab gate hain hum aaj jhanda hai hamare hath mein lakh lashkar aaen kab hilte hain hum aandhiyon mein jang ki khilte hain hum maut se hans kar gale milte hain hum aaj jhanda hai hamare hath mein