cigarette ke raqs karte dhuen se mil kar, ajib mahaul kar diya hai aur is pe ab ye ghadi ki tik-tik ne, dil udasi se bhar diya hai kisi zamane mein hum ne, 'nasir', 'faraaz', 'mohsin', 'jamal', 'sarwat' ke sher apni chahakti diwar par likhe the ab is mein silan kyun aa gai hai? hamara bistar ki jis mein koi shikan nahin hai, usi pe kab se, (wo daen jaanib, main baen jaanib) na jaane kab se daraaz hain ham!!! main us se shayad khafa nahin hun, use bhi koi gila nahin hai magar hamari khamida pushten jo pichhli kitni hi saaton se bas ek duje ko tak rahi hain wo thak gai hai