hamare shajre bikhar gae hain

guman ki be-rang saaton mein
nawah-e-karb-o-bala se darbar-e-sham tak hum
lahu ki ek ek bund ka sab khiraj de kar
tamam qarze chukate aae
shikasta dahliz
lahu ki mehrab
sinan ka mimbar
hamari izzat badhate aae
wo hum hi the jo qayam karte
rukua mein jhukte
zakat de kar
khud apne hisse ka taam de kar
darud o salat padhte aae
wo hum the jo gharon se nikle
to phir abad tak
palat ke ghar ki taraf na dekha
sitara-e-sahari gawah hai
ki hum ne insan ko
chhanw dete
ghanere pedon pe khun chhidka
jhulaste sahra ko tazgi di
dahakti dharti ko zindagi di
magar wo taskin ka pul kahan hai
bhanwar bhanwar hai zamana sara
wajud apne kidhar gae hain
hamare shajre bikhar gae hain
This is a great izzat afzai shayari. True lovers of shayari shayari marathi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this phool shayari image is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close