kitni mehnat se padhate hain hamare ustad hum ko har ilm sikhate hain hamare ustad tod dete hain jahaalat ke andheron ka tilism ilm ki shama jalate hain hamare ustad manzil-e-ilm ke hum log musafir hain magar rasta hum ko dikhate hain hamare ustad zindagi nam hai kanton ke safar ka lekin rah mein phul bichhate hain hamare ustad dil mein har lamha taraqqi ki dua karte hain hum ko aage hi badhate hain hamare ustad sab ko tahzib-o-tamaddun ka sabaq dete hain hum ko insan banate hain hamare ustad hum ko dete hain ba-har-lamha payam-e-talim achchhi baaten hi batate hain hamare ustad khud to rahte hain bahut tang-o-pareshan magar daulat-e-ilm lutate hain hamare ustad hum pe lazim hai ki hum log karen un ka adab kis mohabbat se badhate hain hamare ustad