hamein kaha jaega ki hath upar utha len aur apne talai khwab, nuqrai wade aur kansi ke phul hamare hawale kar den apni mahbubaen waldain aur dost hamare supurd kar den apni zamin aur aasman girwi rakh den apne samundar aur sahra barae nam qimat pe farokht kar den kashtiyon aur jangalon ko aag laga den dariya aur pul khali kar den ghar chhod ke chale jaen aur pichhe mud ke na dekhen mohabbat ek na-munasib qadam hai is se gurez karen hamein kaha jaega ki aainda kuchh na kahen