gadho mat chaak pe rakh ke koi kuza surahi ya ghada pyala tumhaari soch ke ye naqsh hain sare tumhaari khwahishon ke rang bhar dilkash hamein mitti hi rahne do hamein kab chahiye aisi ata bakhshi hui surat hamein mitti hi rahne do jo nam barish se ho zarkhez ho faslen ugati ho zara si bij ko pauda banati ho ki wo pauda shajar ban kar tumhaari rahguzar ko chhanw deta hai wahi rasta tumhaari manzilen aasan karta hai hamein mitti hi rahne do numaish ke sajawat ke hamein saman kyun hona numu se kyun hamein mahrum karte ho tumhaare panw ke niche zamin qaem rahe jaanan hamein mitti hi rahne do