wahi hain fasle aur qafile phir bhi rawan hain wahi hain silsile aur daere bhi be-karan hain ye hum jo ek bosida imarat ke khandar se phul chunne ja rahe the hamara khwab tha hum dahr ko khushbu se bharna chahte the magar hum haddiyon ki rakh le kar aa gae hain ye hum khwabon ke dariyaon se ek jharna bas ek chhota sa jharna chahte the jo hamare dasht ki be-ab mitti ko zara nam-ashna kar de magar jaane kahan se hum chita ki aag le aae hamare dil ka ye jwala-mukhi phatne ko aaya hai kabhi bhi hum ne lambe faslon se surkhiyan dekhin to hum us samt ko lapke magar raston ke pech-o-kham mein hi itna samay bita ki hum zardi ko chehron par lapete laut aae wahi hain silsile aur fasle aur us pe apne dil mein chalne ki tamanna bhi magar umr-e-muayyan ki bachi punji to bas chand ek lamhe hai ye sach hai hum kabhi bhi ishq ke mear par pure nahin utre magar aisa nahin karna hamein mujrim nahin kahna ki hum girah-e-masaib par karne se kabhi munkir nahin thahre khudaya hum ko ab teri gawahi ki zarurat hai hamein phir se tabahi ki zarurat hai