dil hai pahlu mein to paida shewa-e-turkana kar jaur haft-aflak ke hote rahen parwa na kar gham ko khud aakar baha jaegi mauj-e-surur dekhta kya hai uth aur fikr-e-mai-o-paimana kar dawa-e-ulfat jata kar muft mein ruswa na ho dar par chadhne se pahle raaz-e-ishq afsha na kar zarf-e-naisan chahti hai qulzum-ashami teri barg-e-gul ki tarah shabnam ke liye tarsa na kar kaam ibrahimiyon ka hai ki khelen aag se kud pad shoalon mein khauf anjam ka asla na kar le ke nam allah ka tufan mein kashti dal de khauf-e-be-payani-e-dariya-e-mauj-afza na kar khud amal tera hai surat-gar teri taqdir ka shikwa karna ho to apna kar muqaddar ka na kar saya-e-shamshir mein poshida jannat hai magar na-kason ke samne is bhed ka charcha na kar