main hamesha ki tarah tanhai ki bahon mein bahen dal kar raat bhi sahil pe tha mahw-e-khiram raat bhi apne hi sae ki nigahon mein nigahen dal kar main khud apne-ap se tha ham-kalam dam-ba-dam daman-kashan tha raat bhi gahre samundar ka fusun khinch rahi thin raat ki nili ragen raat bhi jab badh raha tha tez wahshat-khez maujon ka junun mera saya kah raha tha aa chalen na-gahan tuta dhuen ka aabshaar dekhte hi dekhte bijli giri ek zor ka kaunda hua mein bhanwar jaise safine par sawar baadban jis ki hawaen bijliyan mastul tufan nakhuda tak raha tha har taraf diwana-war raat bhi main khauf ki shiddat mein apne sae se lipta hua raat bhi palkon pe raushan tha lahu raat bhi jari-o-sari tha ragon mein bijliyon ka irtiash raat bhi hairan thi chashm-e-justuju raat bhi dekhi hai main ne apne ek ham-shakl ki maujon mein lash us ki pathrai hui aankhon se dur raat bhi main buz-dili se bhag aaya us ko tanha chhod kar bar-e-shab se aaj bhi shane hain chur aaj bhi uttha hun jaise ruh ka tarik ghera tod kar