hai jin mein zauq-e-azadi wo zindanon mein rahte hain wahi basti basate hain jo viranon mein rahte hain sukun maqsud hai jin ko unhen jina nahin aata shuur-e-zindagi jin mein hai tufanon mein rahte hain mita kar apni hasti dars de jate hain aalam ko shahidan-e-wafa ke zikr afsanon mein rahte hain tabiat kis qadar aazad hai in marne walon ki ki jin ki khak ke zarre bayabanon mein rahte hain hayat-e-jawidan milti hai hasti ke mitane se masarrat un ka hissa hai jo gham-khanon mein rahte hain jo soz-e-ishq rakhte hain lagi rahti hai lau un ko tajalli dhundne wale hi parwanon mein rahte hain jasarat zauq-e-nazzara ki paida kar nigahon mein numud-e-husn ke anwar paimanon mein rahte hain wo ham-mashrab wo ham-sohbat jinhen apna samajhte the misal-e-sabza-e-begana beganon mein rahte hain qafas ka dar bana dete hain rashk-e-bab-e-azadi jo ahl-e-hosh hain 'takmil' zindanon mein rahte hain