ishaara kis ne toda hai ki chaurahe ke bichon-bich hum ek dusre se is tarah takra gae hain ye chaaron raste hum ne mohabbat ki kudalon se tarashe the hamein phulon pe chalne ka ishaara chahiye tha magar rishton ke baadal jo kabhi dil par baraste the to hariyali ka mausam chaaron jaanib phail jata tha wo baadal kanch ke manind yun tute fazaon mein ki har rasta nukili kirchiyon ki surmai barish mein bhiga hai ye chauraha ki jo apne milan ka istiara tha tamasha-gah mein badla musafir ek-duje ke muqabil aa hi jate hain magar apna safar kaise tasadum mein dhala aakhir use ek hadse ki shakl kaise aur kis ne di safar ko sanehe ka pairahan pahna ke chaurahe ke bichon-bich istada kiya jis ne use hum kis tarah dhunden use hum kaise pahchanen ki har-su khushnuma chehre kachumar ho ke bikhre hain wo malghuba jo us andhe tasadum ka natija hai use kis shakl mein dhaalen