ajib bezar shakhs hai wo use aqidat aziyyaton aazmaishon se wo sar pe duniya ka bojh dale riwayaton ke liye hawale tamam himmat-ba-kaf diyanat kuan naya roz khodta hai phir us mein girta hai gir ke khud ko nikalne ki muhim mein din-raat katta hai use mohabbat hai zat ki gahri khaiyon se kamal hairat hai us ne khud se kabhi na puchha ye bojh kaisa utha rakha hai hai is aziyyat mein maslahat kya qadam qadam khar-dar raste ye dasht-o-dariya ye kohsaron ke silsile se ye chhoti chhoti rukawaten ek phul had tak ye lamhe lamhe ki muskurahat ke muntazir log haspatalon mein meri aankhon se kyun chhupe hain ye mere khwabon se dur kyun hain sile hue un ke hont kyun hain kamal hairat hai us ne khud se kabhi na puchha koi sada sarfarosh jazba koi nida kyun nahin bulati ai dam-e-kulfat ke be-riya daimi sitam-kash main muntazir hun kabhi mujhe bhi tu aazma le