histrionic personality disorder

ye main ne dekha tha chhutpane mein
ki jin ka qad hai bada unhen sab

salam karte
bade wa chhote sabhi ki aankhon

mein dikhti un ke liye bas izzat
to main ne thana main apna qad bhi bada karunga

so ye hua bhi
ham-umr bachchon se main hamesha

bada hi thahra
jin se qad mein tha main barabar

tha un se chhota
so khelne ko tha mere hisse mein tanha kona

magar mujhe tha abhi bhi badhna
jahan-bhar se tha uncha banna

koi bhi pahunche na mere qad tak
ye chah thi ab junun ki had tak

so ye hua bhi
har ek ehsas ab tha chhota

har ek rishta tha ghutnon hi tak
so main jo rota hatash hota

koi gale se lagata mujh ko
tha ghair-mumkin

badha badha ke main apni zid mein
junun ka qad yun badha chuka hun

mere barabar koi bhi chadar bachi nahin hai
sukun ke bistar se panw mere latak rahe hain

magar main ab bhi uchak uchak ke
ye dekhta hun

main pa ke sab kuchh ya sab ganwa ke
abhi bhi khwabon ke kandhe tak hi

pahunch saka hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close