mukhtalif rang bikharte hain tere aangan mein tere aangan mein mahakte hain mohabbat ke gulab waqt ke paikar-e-piri ka tassur ye hai hai dhanak-rang tera aaj bhi mashur-e-shabab ru-e-sad-rang ukhuwwat ki sabahat le kar be-gharaz aaya tassub ke siyah-khanon mein raqs karta hai khushi ban ke har ek samt gulal baada-e-lutf bhari hai tere paimanon mein holika jalti hai jab shahr ke chaurahon par mit gai jaise burai ye guman hota hai ek ek fard ko hota hai khushi ka ehsas aakhir-e-shab jo nigahon mein dhuan hota hai ai ki rangin milan tu hai mohabbat ka payam muttahid hone ki ek shokh alamat tu hai yun ba-zahir to hai ek aam sa tyauhaar magar ruh-e-bhaarat ke liye naghma-e-rahat tu hai