hum ghubar-e-rahguzar hai ye qissa mukhtasar sun zamin ki siskiyan aasman niche utar ek akeli jaan hai chaar samton mein bhanwar sau dukanen khul gain ek khuda ke nam par aadmi khush hai bahut aadmi ko mar kar zindagi ka lutf le imtihanon se guzar zehn ki bedariyan ek musalsal dard-e-sar aaegi uftad bhi ek din uftad par ghair se rishte bana sahn mein diwar kar waqai naraaz hun rasta hamwar kar mutmain se ho gae aaine ko tod kar aafaten tutin bahut is dil-e-nadar par lag kabhi sine se lag kar kabhi hairan kar aakhirash ji hi liye apne ji ko mar kar ai khuda mere khuda rasta aasan kar