hum to bas peshi bhugtane aae hain hum ne kya lena dena hai raqs-e-saba se tum se us mele se jis mele mein dastawez par dast-khaton ki pahli fasl bichhi thi aur zamana do farsang ki na-hamwar masafat par hairan khada tha hum ne kiya lena dena hai chand se chand ki budhiya aur us ke charkhe se us aansu se jo tapka to hijr hamari umron ke halqe mein awwal awwal naqsh hua na hasti par zina zina maili aankhon ki sairabi na duniya ki bhid mein sansen leta wada yaad dilane aae hain hum to bas peshi bhugtane aae hain