mukhatib aasman hai ya zamin malum kar lena ki donon ke liye tashbib ke misre alag se hain kahin aisa na ho ki aasman bad-zan zamin naraaz ho jae qaside mein gurez-e-na-rawa ka mod aa jae tere sar pe koi ilzam aaed ho ki tu bhi andalib-e-gulshan-e-na-afrida hai sukhan-fahmi teri gunjalak bayan ibham-dida hai ye mashwara is liye deta hun jaan-e-man ki gardish mein ghira hai aasman barham tabaq sare zamin bhi apne mahwar se alag chakkar lagati hai qasida soch ke likhna kahin inam o khilat ki jagah kasa na bhar jae malamat se khajalat se nadamat se