duniya taraqqiyon pe hai mabud ki qasam insan kar raha hai taraqqi qadam qadam rakkhenge is tarah qad-e-baala ko medium lambe manush se bandh ke nate ki ab qalam dhal jaenge shabab se pahle jo apne sin gamlon mein boe jaenge bachche bhi ek din insan ne aasman pe qabza dikha diya is aadmi ke khun ko us mein chadha diya aurat ka maghz mard ke sar par laga diya is tajribe ne qais ko laila bana diya bimar dil ke aap jo motor lagaenge aashiq firaq-e-yar mein bhonpu bajaenge kuchh din ke baad aur karenge taraqqiyan ladke banenge tin ke shishe ki ladkiyan sar par lagai jaengi diesel ki tankiyan starter ka kaam karengi dolalttiyan kuchh din ke baad dekhna smart ho gaya cick marne se aadmi start ho gaya scienci mojizat, adaon mein dekhna computeron ka kaam wafaon mein dekhna pahiye lagae jaenge panw mein dekhna aabaad honge shahr khalaon mein dekhna ustad apna man ke shaer machine ko godenge tracktor se ghazal ki zamin ko insan cartoon hai putla hansi ka hai gurde hamare, jism tira, sar kisi ka hai afsos ka maqam nahin hai khushi ka hai pandit ke sar mein maghz kisi maulwi ka hai koshish bhi kar rahe hain hamin ittihad ki insan jadon ko kat raha hai fasad ki faulad ki machine haqiqat bataegi kitni hai tere dil mein mohabbat bataegi kaise kategi ye shab-e-furqat bataegi jo haal hai shabab ka haalat bataegi ab apni aarzu se na hum ko dabaenge ab ladkiyon ke nakhre crenen uthaenge heater se shoala husn ka bhadkaya jaega ab ishq bhi machine se farmaya jaega shauhar bhi ek machine hai samjhaya jaega aashiq ko bhi machine se tadpaya jaega kuchh din ke baad dekhna scienci den se jannat ko bheje jaenge murde plane se puchhenge hum se log to hum kya bataenge kis shakl ka tha aadmi photo dikhaenge bachchon ko madrason mein na murgha banaenge rocket bana ke un ko mudarris udaenge denge dua buzurg ye tifl-e-zahin ko beta nazar lage na tumhaari machine ko insan kya tha, bhul na jaen aziz log insan aur machine mein rakkhen tamiz log ban kar machine ho gae behad laziz log mumkin hai pith par likhen horn-please log 'saghar' agar machine se yunhi judenge log daen se baen hath dikha kar mudenge log computeron se ja ke mahurat le aaenge bhagwan ke bhajan bhi recorder sunaenge pandit bechaare rotiyan kis shai ki khaenge mandir mein khali baith ke ghanta bajaenge matlab rahega koi na mulla ke din se padh lenge log ghar pe namazen machine se jab se huzur ye kalen ijad ho gain kitni kalaen hath ki barbaad ho gain ghundon ke ghar chali gain aabaad ho gain kitni hi ladkiyan yahan nashad ho gain khat aashiqi ke likhti nahin dil ke khun se milne ka wada karti hain ab telephone se talim de rahe hain to wo bhi machine se pate hain ab sazaen bhi qaidi machine se mana ki kaam hota hai jaldi machine se mazdur ki kharab hai mitti machine se motor hai jin ke pas wo ahl-e-yaqin hain paidal hain jitne log wo kaudi ke tin hain
This is a great ustad k liye shayari. True lovers of love start shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aurat ka dard shayari. Please share if you liked this!!!