ab meri mez par tin chhote chhote pyale hain ek safed rang ka hai dusre par nile rang ke phul bane hain aur tisra kori mitti se bana hai main pahle piyale mein pani rakhunga dusre mein rang aur tisare mein phulon ki pattiyan ek bade piyale mein phulon ki pattiyan rang aur pani rakh dunga aur ek safed kaghaz par apne khwabon aur mohabbat ka ek halka sa khaka banaunga aur bahar dhup mein phaila dunga