insilak

kaun sa din meri aankhon ko lagega achchha
kaun si raat mere khwab mein tum aaoge

kaun si rut mein chaman phulon se bhar jaega
kaun se dar pe kisi roz wo dastak hogi

sab sawalon ke jawabon mein hai ibham bahut
bandh kar rakht-e-safar sil se jo hum puchhte hain

daman-e-hijr se lipte hue gham ek pal ko
dil ko andesha-e-taqwim se kar ke aazad

nabz-e-ummid chalane ka hunar jaante hain
chahta hun ki kuchh aise bhi safar hon darpesh

jin mein khud raste musafir ke qadam ho jaen
manzilen daud paden khud se hamari jaanib

khwab-dar-khwab jalen lazzat-e-imkan ke charagh
aur mil jaen sabhi tishna sawalon ke jawab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close