us ka chehra, us ke khadd-o-khal yaad aate nahin ek shabistan yaad hai ek barhana jism aatish-dan ke pas farsh par qalin, qalinon pe sej dhat aur patthar ke but gosha-e-diwar mein hanste hue! aur aatish-dan mein angaron ka shor un buton ki be-hisi par khashm-gin ujli ujli unchi diwaron pe aks un farangi hakimon ki yaadgar jin ki talwaron ne rakkha tha yahan sang-e-buniyaad-e-farang! us ka chehra us ke khadd-o-khal yaad aate nahin ek barhana jism ab tak yaad hai ajnabi aurat ka jism, mere honton ne liya tha raat bhar jis se arbab-e-watan ki be-hisi ka intiqam wo barhana jism ab tak yaad hai!