intizar

sab sitare chand suraj phul phal gae
kab kahan aur kaun ke sab silsile ab khatm hain

waqt par maut aa gai mausam badal gae
waqt ka lamha-e-fani le gaya sab raushni aur rang-o-bu

ab na pyala hai na pani
ek kora aasman hai

be-dar-o-diwar rauzan aur benam-o-nishan
shakl aur shishe ki aaraish ka manzar bhi nahin

nur ki nazren bhi patthar ho gain
ab raho tum muntazir

khak-o-khun ki chashni mein kaun ab laega wasl-o-hijr ke mausam yahan
ab wo gum-gashta khazinon ki khabar

phul ki patti mein larzan phir na dekhoge kabhi
ye khayal-o-khwab ki khakistari khabron ke din

aur khwabida nashe mein lautti raaton ki battiyan gul huin
khak-dan sab jal-bujhe

khun ki holi ke khel
teri meri zid ke sare mel-jol

wasl ki sab qurbaten aur hijr ke sab fasle
sab sadaen aur sadiyan mausamon ke qafile

dhal dhala kar rang ki aamezishon ke sae mein
tere mere sar se sare war kar

chandni aur dhup ke in nuqrai sikkon ka rup
le ude hain kaghazi pairahanon ke dosh par

teri meri kulfaton aur ulfaton ki dastan
qafilon ka waqt ab baqi nahin

chhod do paimaish-e-sud-o-ziyan
daur ab reg-e-rawan ka khatm hai

waqt ka waqfa naya aaega bhi
phir bisat-e-dil bichhaenge nai

phir khilega mausam-e-gul bhi naya
bandh rakh rakht-e-safar

ai ham-safar
main wahi musht-e-ghubar-e-rah-guzar

hun muntazir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close