wo ek panchwati ka wishaal sa jangal jugon jugon se jahan ek ahilya ki shila tabah-kar siyah-fal bad-dua ka sila buri tarah se hai apne sharab mein pagal kabhi ye sochta hai sang-o-khisht ka paikar khud us ki tarah na har rahguzar pathra jae wo lauh-e-harf-e-muqaddar bhi jis pe dhundla jae na jaane kitni sadi tak rahegi khak-basar is aas par take jata hai dida-e-be-nur kabhi to pighlega ye sang-e-intizar aakhir kabhi to ram ki thokar ka hoga gun zahir kabhi to hoga rag-e-sang mein lahu ka zuhur magar najat-dahinda abhi nahin aaya hazar sal hain darkar dida-war ke liye janam janam ke hain chakkar nae safar ke liye na jaane 'indra' chalega ki ram aaega