muddaten bit gain tum nahin aain ab tak roz suraj ke bayaban mein bhatakti hai hayat chand ke ghaar mein thak-haar ke so jati hai raat phul kuchh der mahakta hai bikhar jata hai har nasha lahr banane mein utar jata hai waqt! be-chehra hawaon sa guzar jata hai kisi aawaz ke sabze mein lahak jaisi tum kisi khamosh tabassum mein chamak jaisi tum kisi chehre mein mahakti hui aankhon jaisi kahin abru kahin gesu kahin banhon jaisi chand se phul talak yun to tumhin tum ho magar tum koi chehra koi jism koi nam nahin tum jahan bhi ho adhuri ho haqiqat ki tarah tum koi khwab nahin ho jo mukammal hogi