tumhein malum hai wo be-khudi ka kaisa aalam tha mere honton mein jalti patriyan bhi muskuraati thin meri aankhon ko raaten jagne ka gham nahin tha jab mere hathon mein bikhri silwaten shikwa na karti thin mere pairon ka nanga-pan kahin be-dam nahin tha jab mujhe khaddar ke malbusat bhi ruswa na karte the kisi khane ki basi badbuon mein gham nahin tha jab ye sari mehnaten kyun meri aankhon mein utarti hain ye honton mein dimaghon ka khinchao jagta kyun hai ye chehre ki lakiren kyun mujhe ranjida karti hain ye kaise ranj hain aalam hain gham hain tabahi hai meri khud-agahi ke sabz chashme khushk se kyun hain ye kaisi dhup hai jo jism ki ranai jhulsae ye kaisi chhanw hai jo sardiyon ki barf ban jae ye main ne chandni ko muddaton se kyun nahin dekha ye kyun in barishon mein phul raston mein nahin phaile ab is mamta ki shabnam kyun mere dil par nahin girti meri aaghosh mein basti ke bachche kyun nahin aate wahi hangam ab kyun ek pagal-pan sa lagta hai kisi dilchasp khamoshi mein kyun wahshat si hoti hai ye aakhir rafta rafta sari duniya kyun badalti hai magar jab sochti hun main to ye bohran ka aalam ye sari hosh ki duniya hai bas ek khwab ke pichhe ye sare bolte aansu ye honton main khinchao sa ye jalti dhup dushman chhanw guzre chand ki kirnen ye aazurda se raste mamta se khali aaghoshen ye pagal-pan ki duniya wahshaton ki ghor tariki ye meri ruh ke andar badalti aadaton ka gham tumhaara muntazir hai tum mujhe mazbut banhon mein kabhi haule se le loge mere kanon mein kah doge tumhein kis baat ka gham hai tumhein kaisi pareshani tumhaare pas hain jo hun tumhaare gham main le lunga