mere bap ne marte dam bhi mujh se bas ye baat kahi thi gardan bhi ud jae meri sach bolun main jhut na bolun us din se main aaj ke din tak pag pag jhut se takkar leta sach ko reza reza karta apne dil ko in rezon se chhalni karta khun mein lat-pat ghum raha hun aur mera daman hai khali lekin ab main thak sa gaya hun bargad ki chhaya mein baitha kitni der se soch raha hun kyun na jhut se hath mila lun aur chupke se qabr pe apne bap ki ja kar itna kah dun tum jhute the