ye aankhen bilkul waisi hain jaisi mere khwab mein aati thin peshani thodi hat kar hai par honton par muskan ki banti mitti lahren waisi hain aawaz ka zer-o-bam bhi bilkul waisa hai aur hath jinhen mein khwab mein bhi chhuna chahun to kanp uthun ye hath bhi bilkul waise hain ye chehra bilkul waisa hai par is par chhai khamoshi kuchh an-dekhi aur us chehre par sham zara si gahri hai in shanon ka phailao thoda kam hai lekin qamat bilkul waisi hai aur tum se mil kar mere dil ki haalat bilkul waisi hai