main nahin jaanta ki yahan se kisi ne mujh se kuchh kaha ya wahan se kisi ne tum se kuchh kaha ya kisi ne kuchh bhi nahin kaha to bina kuchh kahe hue hi kuchh sun liya hoga nind mein chalte hue aadmi ke liye hamwar rah bhi khai ban jati hai aur kahin bhi girne ke liye girne wale ko bhi kuchh bataya nahin jata aur agar girane wala khuda ke dil mein baitha ho to girne wale ko mahz ye batane ke liye ki chalo utho tumhein giraya jaane wala hai to kya wo use dekh sakta hai so kyun na baat wahin se shurua ki jae jahan se aadmi ki zat ne hi aadmi ki zat se kaha ki agar sat samundaron se bhi badh kar tumhaare aansu aur tumhaare gham honge to chalo mil ke bant lenge aur tumhein itna hansaen ki jiwan bhar kabhi rone ke liye ek aansu bhi nahin milega magar wo ye nahin jaanti hogi ki kabhi nind ko nind aa jati hai bilkul waise hi jaise maut ko bhi maut aati hai koi soya hua ped bhi kisi soe hue ped mein so jata hai aur yahi wo samay hota hai jab zindagi ke tamam kaam bahut khub karte hue aadmi ki nazar ke samne bhi tarik diwar aa jati hai so yahan tak pahunch ke malum hua ki kuchh bhi to nahin tha ki agar kuchh hota bhi to us ke hone se pahle bahut kuchh ho chuka hota koi kisi ke liye kabhi nahin jaga koi kisi ke liye kabhi nahin roya koi kisi ke liye kabhi nahin jala koi kisi ke liye kabhi nahin bujha kisi bahut bade jhut se mile hue kisi bahut bade sach mein na koi jhut milta hai na koi sach