wo ek lamha ki lam-yazal ne azal ki khush-bakht saaton ka khamir le kar hamare khun ki rutubaton mein bhigo ke ek munhani se paikar mein dhaal kar dhire dhire aazmaish ke marhalon se guzar kar jis ko dam kiya tha wo ek lamha ki tarah jis ki samundaron ki riwayaton se hawaon ki sansanahaton ki hikayaton se khaliq mitti ki sondhi sondhi amanaton se jhulaste suraj ki barguzida tamazaton se amal mein aai wo ek lamha ki sab awamil asir kar ke zaman ki yak-rang sarhadon ko phalang kar jab makan ki pechida wusaton par raqam hua tha amin hai sachchi ibaadaton ka hamare mathe pe jo likhe hain halif hai sari azmaton ka sadaqaton ka hamare khun mein jo rach gai hain harif hai sab kuduraton ka, adawaton ka, saubaton ka hamari banjar zamin ke sine se jo ugi hain azim markaz hai na-shunida inayaton ka, mohabbaton ka, rifaqaton ka, murawwaton ka hamari ruhon mein jo basi hain hum apne khaliq ki kaun si nematon se inkar kar sakenge ki sajda-gah-e-yaqin se phuti hui kiran mein asir hain hum bulandiyon ke safir hain hum guzishta sadiyon ke mojazon ki nazir hain hum azim danish ko hum ne harf o nawa ki rangin rida ata ki zaruraton ki qaba ata ki wo ek lamha ki aarzu mein azal se jis ki haqiqaton ki jhulasti dahliz pe hum ne tum ne mubasharat ke tamam aasan hi aazmae agar hamare dilon mein diwar-e-jaan uthae magar ye mumkin hi kis tarah hai ki hum mohabbat ke bij bo kar adawaton ke shajar ugaen jo ek lamha hum apne khaliq ke nam mansub kar chuke hain wo ek lamha agar na aae magar ye imkan ki sarhadon se gurez hoga gurez jo aasman se utre kisi sahife ki wa-jbin par raqam nahin hai hum apne khaliq ki kaun si nematon se inkar kar sakenge