dar ki rassiyon ke gulu-band gardan mein pahne hue gane wale har ek roz gate rahe payalen bediyon ki bajate hue nachne wale dhumen machate rahe hum na is saf mein the aur na us saf mein the raste mein khade un ko takte rahe rashk karte rahe aur chup chap aansu bahate rahe laut kar aa ke dekha to phulon ka rang jo kabhi surkh tha zard hi zard hai apna pahlu tatola to aisa laga dil jahan tha wahan dard hi dard hai gulu mein kabhi tauq ka wahima kabhi panw mein raqs-e-zanjir aur phir ek din ishq unhin ki tarah rasan-dar-gulu pa-ba-jaulan hamein usi qafile mein kashan le chala