ab na un unche makanon mein qadam rakhunga main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi apni nadar mohabbat ki shikaston ke tufail zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi aur ye ahd kiya tha ki ba-in haal-e-tabah ab kabhi pyar bhare git nahin gaunga kisi chilman ne pukara bhi to badh jaunga koi darwaza khula bhi to palat aaunga phir tere kanpte honton ki fusun-kar hansi jal bunne lagi bunti rahi bunti hi rahi main khincha tujh se magar tu meri rahon ke liye phul chunti rahi chunti rahi chunti hi rahi barf barsai mere zehn o tasawwur ne magar dil mein ek shoala-e-be-nam sa lahra hi gaya teri chup-chap nigahon ko sulagte pa kar meri bezar tabiat ko bhi pyar aa hi gaya apni badli hui nazron ke taqaze na chhupa main is andaz ka mafhum samajh sakta hun tere zar-kar darichon ki bulandi ki qasam apne iqdam ka maqsum samajh sakta hun ab na un unche makanon mein qadam rakhunga main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi isi sarmaya o aflas ke dorahe par zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi