marg-e-israfil par aansu bahao wo khudaon ka muqarrab wo khudawand-e-kalam saut-e-insani ki ruh-e-jawedan aasmanon ki nida-e-be-karan aaj sakit misl-e-harf-e-na-tamam marg-e-israfil par aansu bahao aao israfil ke is khwab-e-be-hangam par aansu bahaen aaramida hai wo yun qarna ke pas jaise tufan ne kinare par ugal dala use reg-e-sahil par chamakti dhup mein chup chap apne sur ke pahlu mein wo khwabida hai us ki dastar us ke gesu us ki rish kaise khak-aluda hain the kabhi jin ki tahen bud-o-nabud kaise is ka sur is ke lab se dur apni chikhon apni fariyaadon mein gum jhilmila uthte the jis se dair-o-zud marg-e-israfil par aansu bahao wo mujassam hamhama tha wo mujassam zamzama wo azal se ta abad phaili hui ghaibi sadaon ka nishan marg-e-israfil se halqa dar halqa farishte nauha gar ibn-e-adam zulf-dar-khak-o-nazar hazrat-e-yazdan ki aankhen gham se tar aasmanon ki safir aati nahin aalam-e-lahut se koi nafir aati nahin marg-e-israfil se is jahan par band aawazon ka rizq mutribon ka rizq aur sazon ka rizq ab mughanni kis tarah gaega aur gaega kya sunne walon ke dilon ke tar chup ab koi raqqas kya thirkega lahraega kya bazm ke farsh-o-dar-o-diwar chup ab khatib-e-shahr farmaega kya masjidon ke aastan-o-gumbad-o-minar chup fikr ka sayyaad apna dam phailaega kya tairan-e-manzil-o-kohsar chup marg-e-israfil hai gosh-e-shanwa ki lab-e-goya ki maut chashm-e-bina ki dil-e-dana ki maut thi isi ke dam se durweshon ki sari haw-hu ahl-e-dil ki ahl-e-dil se guftugu ahl-e-dil jo aaj gosha-gir-o-surma-dar-gulu ab tana ta-hu bhi ghaeb aur ya-rab ha bhi gum ab gali kuchon ki har aawa bhi gum ye hamara aakhiri malja bhi gum marg-e-israfil se is jahan ka waqt jaise so gaya pathra gaya jaise koi sari aawazon ko yaksar kha gaya aisi tanhai ki husn-e-tam yaad aata nahin aisa sannata ki apna nam yaad aata nahin marg-e-israfil se dekhte rah jaenge duniya ke aamir bhi zaban-bandi ke khwab jis mein majburon ki sargoshi to ho us khudawandi ke khwab the death of israphaeli