wo kya jaanen kyon mah-paron se puchho mohabbat hai kya gham ke maron se puchho lahu be khataon ka kitna baha hai ye ja kar zara lala-zaron se puchho agar puchhna hain khizan ke mazalim gulistan ki guzri bahaaron se puchho kahan pahuncha hai karwan zindagi ka ye ja kar shikasta mazaron se puchho wafa ke liye kitna roi hai duniya tadapte hue aabshaaron se puchho rah-e-ishq mein wasl hoga kahan par ye dariya ke donon kinaron se puchho hai bimar-e-furqat ka kya ab sahaara ye jate hue chand-taron se puchho sukun dil ko milta hai furqat mein kaise shab-e-hijr ke be-qararon se puchho diya kya hai baad-e-bahaari ne tohfa ye jaib-o-gareban ke taron se puchho sada sath un ke guzari hain raaten mera haal tum chand-taron se puchho pata puchhna hai agar 'jafari' ka to dasht-e-mughilan ke kharon se puchho