har aadmi ki qismat mein ek na ek saza hoti hai mere liye har bar tum se dur rahne ki saza muntakhab ki jaegi na-insafi ke pesh-e-nazar saza ka kaam kisi munsif par nahin chhoda jaega lekin is ke bawajud wo tauhin ka wo notice nahin jari kar sakenge jis mein wahi honge muddai wahi honge munsif hamari shahriyat ko kham kar diya gaya hai achchha hua ki hamare dilon ko aabgine tarashne walon par nahin chhoda gaya ek aawara-manush ne mujhe chaak chalana aur mitti mein dil rakhna sikhaya main har raat apne dil ko mitti mein milata aur nai nai tarah gundhta hun har subh us mulk ke liye ek naya khwab dhaalta hun jis ke liye jughrafie ki tarikh mein koi jagah nahin hogi abhi aasmanon par rahne walon ko mere jaraem ka ilm nahin hua warna wo mere sar par ek aadh aasman zarur gira dete ehtiyatan main ne tumhein in sari baaton aur apne khwabon se dur rakha hai isi liye ab tak kisi musawwir ya mujassama-saz ne tumhein koi shakl nahin di main ne tumhein un khayalon se bhi dur rakha hai jin tak koi shaer rasai hasil kar sake yahan tak ki main ne tumhein apni rasai se bhi dur rakha hai taki tumhaare wo libas aaluda na hon jinhen pahan kar tum aaine ke samne nahin jati hogi jinhen pahan kar tum bagh ki sair aur bazar jaana bhi mauquf kar deti hogi main ne apne liye saza tajwiz karne ka ikhtiyar kisi ko nahin diya tumhein bhi nahin warna tum mere liye qurbat tajwiz kar sakti thin