kaise main bhi bhul jaun zindagi se apna rabt-e-awwalin ek dur uftada qarye ke qarib ek junun afroz sham nahr par shisham ke ashjar-e-buland chandni mein in ki shakhon ke tale tere paiman-e-mohabbat ka wo izhaar-e-tawil ruh ka izhaar the bose mere jaise meri shairi mera amal ruh ka izhaar kaise bhul jaun kaise kar dalun main jism-o-ruh ko aaj be-ahang-o-nur tu ki thi us waqt gum-nami ke ghaaron mein nihan mere honton hi ne di tujh ko najat apni rahon par utha laya tujhe zinda-e-jawed kar dala tujhe jaise koi but-tarash apne but ko zindagi ke nur se taban kare is ko barg-o-bar dene ke liye apne jism-o-ruh ko uryan kare mere bose ruh ka izhaar the ruh jo izhaar hi se zinda-o-tabinda hai hai isi izhaar se hasil mujhe qurb-e-hayat ruh ka izhaar kaise bhul jaun