jaan-ba-haq lafzon ka janaza

hamare jism hangeron par
mae sales-taxes latke hue hain

hamare siyanon ne wirasat mein hamein
news anchor diye hain

jo hamein koi bhi khush-khabari na sunane ki tankhwah lete hain
aur hum rozana shab nau baje

un ka aashirwad le kar
bistaraon mein dubak jate hain

suna hai hamara janam pure chand ki raat ko hua tha
jo amawas ki tarah siyah thi

us raat hamari aankhen screen par chipka di gain
aur zaban remote ke buttonon ke bich daba di gai

hum likhna jaante the
hum ne apni ungliyan qalam bana din

aur tahrir ko zaban de di
lekin ek sham breaking-news se pata chala

ki tamam lafz ijtimai khud-kushi kar chuke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close