hum rang-e-junun se hasti ki taswir badal denge ek din tadbir-o-amal se duniya ki taqdir badal denge ek din jab hum bhi bade ho jaenge zulmat ko mitaenge ek din ye kar ke dikhaenge ek din dil jis se hon raushan logon ke wo dip jalaenge ek din jab hum bhi bade ho jaenge dekhe hain jo ab tak logon ne wo khwab karenge hum pure sahra-e-watan ko mil-jul kar sinchenge lahu se hum apne jab hum bhi bade ho jaenge hum chir ke sina dharti ka dhundenge khazana daulat ka aakash pa ja kar dekhenge kya raaz hai us ki shohrat ka jab hum bhi bade ho jaenge kya chiz hai us ke daman mein sagar mein utar kar dekhenge tufan mein kitna dam-kham hai kuchh der thahar kar dekhenge jab hum bhi bade ho jaenge