kal, tera nama jo milta tha hamein us ke alfaz tale muddaten, maani ki tashrihon mein lutf ka sail-e-rawan rahta tha raaten bistar pe nasha khwab ka rakh deti thin itr mein dubi hui dhup ki paimaish par chandni nind, ko lori ki thapak deti thi zehn mein subh o masa ek ajab farhat-e-nau-rasta safar karti thi lekin ab qurbaten hain baham samaat ko magar phone ki ghanti ko sunne ko tarasti khwahish munqata rabita pane ke liye koshan hai ungliyan rahti hain ek ek button par raqsan yahi mamul hai muddat se magar, telephone ek khamosh sada deta hai silsila lamhon ka sadiyon sa bana deta hai