kis tarah rokta hun ashk apne kis qadar dil pe jabr karta hun aaj bhi kar-zar-e-hasti mein jab tere shahr se guzarta hun is qadar bhi nahin mujhe malum kis mohalle mein hai makan tera kaun si shakh-e-gul pe raqsan hai rashk-e-firdaus aashiyan tera jaane kin wadiyon mein utra hai ghairat-e-husn karwan tera kis se puchhunga main khabar teri kaun batlaega nishan tera teri ruswaiyon se darta hun jab tere shahr se guzarta hun haal-e-dil bhi na kah saka garche tu rahi muddaton qarib mere kuchh teri azmaton ka dar bhi tha kuchh khayalat the ajib mere aakhir-e-kar wo ghadi aai bar-war ho gae raqib mere tu mujhe chhod kar chali bhi gai khair qismat meri nasib mere ab main kyun tujh ko yaad karta hun jab tere shahr se guzarta hun go zamana teri mohabbat ka ek bhuli hui kahani hai tere kuche mein umr-bhar na gae sari duniya ki khak chhani hai lazzat-e-wasl ho ki zakhm-e-firaq jo bhi ho teri mehrbani hai kis tamanna se tujh ko chaha tha kis mohabbat se haar mani hai apni qismat pe naz karta hun jab tere shahr se guzarta hun ashk palkon pe aa nahin sakte dil mein hai teri aabru ab bhi tujh se raushan hai kaenat meri tere jalwe hain chaar-su ab bhi apne gham-khana-e-takhayyul mein tujh se hoti hai guftugu ab bhi tujh ko virana-e-taswwur mein dekh leta hun ru-ba-ru ab bhi ab bhi main tujh ko pyar karta hun jab tere shahr se guzarta hun aaj bhi kar-zar-e-hasti mein tu agar ek bar mil jae kisi mahfil mein samna ho jae ya sar-e-rahguzar mil jae ek nazar dekh le mohabbat se ek lamhe ka pyar mil jae aarzuon ko chain aa jae hasraton ko qarar mil jae jaane kya kya khayal karta hun jab tere shahr se guzarta hun aaj main aise maqam par hun jahan rasan-o-dar ki bulandi hai mere ashaar ki latafat mein tere kirdar ki bulandi hai teri majburiyon ki azmat hai mere isar ki bulandi hai sab tere dard ki inayat hai sab tere pyar ki bulandi hai tere gham se nibah karta hai jab tere shahr se guzarta hun tujh se koi gila nahin mujh ko main tujhe bewafa nahin kahta tera milna khayal-o-khwab hua phir bhi na-ashna nahin kahta wo jo kahta tha mujh ko aawara main use bhi bura nahin kahta warna ek be-nawa mohabbat mein dil ke lutne pe kya nahin kahta main to mushkil se aah bharta hun jab tere shahr se guzarta hun koi pursan-e-haal ho to kahun kaisi aandhi chali hai tere ba'd din guzara hai kis tarah main ne raat kaise dhali hai tere ba'd sham-e-ummid sarsar-e-gham mein kis bahane jali hai tere ba'd jis mein koi makin na rahta ho dil wo suni gali hai tere ba'd roz jita hun roz marta hun jab tere shahr se guzarta hun lekin ai sakin-e-harim-e-khayal yaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahin kya kabhi tere dil pe guzra hai meri mahrumiyon ka gham ki nahin meri barbaadiyon ka sun kar haal aankh teri hui hai nam ki nahin aur is kar-zar-e-hasti mein phir kabhi mil sakenge hum ki nahin darte darte sawal karta hun jab tere shahr se guzarta hun