kya kahun tum se baat jade ki lambi hoti hai raat jade ki nind ek bar jab uchatti hai badi mushkil se raat katti hai log aankhon ko band karte hain jagna na-pasand karte hain khub karwat pe lete hain karwat nind aae kisi tarah jhat-pat wo kabhi odhna razai ka wah kya kahna is safai ka hai ye matlab ki ji na ghabrae chain se soen nind aa jae magar aisi ghadi udi thi nind subh tak phir zara na aai nind ban sanwar kar bahut pade lekin jagte jagte chadh aaya din masjidon mein azan hone lagi jalwa-gar din ki shan hone lagi murgh ab bolte hain kukdun kun aur kabutar bhi karte hain ghat gun kya sabab nind kyon uchatti hai raat kyon mushkilon se katti hai baat ye hai jo hain nikamme log kaam ka palte nahin hain rog un ko matlab nahin kitabon se raat ko wo sabaq nahin padhte sham hi se wo let rahte hain baat sunte hain aur na kahte hain lambi hoti hai raat jadon ki nind bhar kar hai aankh khul jati jag kar phir wo subh karte hain jaisi karte hain waisi bharte hain