tabiat jo andar se jhunjhla rahi hai to bahar se aawaz ye aa rahi hai ki ai fazil-e-dars-gah-e-himaqat hijabaat-e-danish utha kar bhi dekho sharafat ke pichhe jigar ho gaya khun sharafat se pichha chhuda kar bhi dekho azal se mohabbat khudi ka hai zindan ab is se zara bahar aa kar bhi dekho murawwat ne pahnai hain bediyan jo zara un ka loha ghula kar bhi dekho tasawwur ki wadi mein bhatkoge kab tak kabhi shahr-e-imkan mein ja kar bhi dekho gharaz 'mazhari' is dayar-e-junun mein mila, kuchh na khone se pa kar bhi dekho suna mashwara tera ai saut-e-ghaibi zalalat ki sarhad mein aa kar bhi dekha rizalat ki gardan mein banhen bhi dalin sharafat se pichha chhuda kar bhi dekha hamiyyat ka ghonta gala rafta rafta mohabbat ko phansi chadha kar bhi dekha kaf-e-mor se us ka luqma bhi chhina haq-e-ahl-e-khidmat chura kar bhi dekha shuur o khirad ko ghurur o hasad ko sula kar bhi dekha jaga kar bhi phire ku-ba-ku aql ki rahbari mein gharaz ye ki kho kar bhi, pa kar bhi dekha na khone se hasil, na pane se hasil jise sud kahte hain wo bhi ziyan hai yahi bas ki taqdir-e-aql o junun hai yahi khisht-e-tamir-e-kaun-o-makan hai mohabbat jahannam hai, nafrat jahannam jidhar jaen ek aag shola-fishan hai dayar-e-wafa ya dayar-e-hawas ho na rahat yahan hai na rahat wahan hai sharafat bhi gham-gin rizalat bhi gham-gin bas ab munh na khulwa khuda darmiyan hai samak se sama tak tapish hi tapish hai faza se khala tak fughan hi fughan hai khudi panw pakde hai jaen kahan hum tasawwur ki jannat banaen kahan hum