aao pyare bachcho aao khud jago auron ko jagao gaya ghulami ka wo andhera aazadi ka hua sawera nind se chaunko hosh mein aao khud jago auron ko jagao utho utho susti kaisi ye himmat ki pasti kaisi aao mil kar qadam badhao khud jago auron ko jagao hindu muslim sikh isai sab ka dukh sukh ek hai bhai dukhiyon ka dukh dard mitao khud jago auron ko jagao ilm ki shama hath mein le kar sab ko apne sath mein le kar manzil manzil badhte jao khud jago auron ko jagao