dhimi dhimi bahne wali ek nahr-e-dil-nashin aab-e-ju chhoti si ek nazuk khiram-o-naznin tishnagi-e-shauq ganga mein bujhane ke liye ja rahi hai apni hasti ko mitane ke liye ye wo jamuna hai ki dilkash jis ka hai andaz-e-husn dekhte hain aah aashiq jis ka khwab-e-naz-e-husn ye wo jamuna hai ki gati hain sukhnawar jis ke git mutriban-e-khush-gulu ki hain zaban par jis ke git ye wo jamuna hai jahan le le ke jalwat ke maze lute hain ushshaq ne barson mohabbat ke maze ye wo jamuna hai ki radha si hasin ne muddaton brij ki ek pak-daman naznin ne muddaton bansi wale ki judai mein uda kar sar pe khak apne ashkon se kiya hai daman-e-sahil ko pak ye wo jamuna hai jahan ek banu-e--parda-nashin aagara mein mahw-e-asaish hai jo zer-e-zamin rukh se aahista ulat kar chadar-e-ab-e-rawan dekhti thi muskura kar manzar-e-ab-e-rawan aah ai nahr-e-latafat aah ai bahr-e-jamal dil mein hai pahlu-nashin ab tak tera naqsh-e-khayal garche tujh mein ab nahin wo jalwa-e-shan-e-kuhan wo hasin to hai ki ai sham-e-shabistan-e-kuhan husn-e-rafta mein hai tere ab bhi ek dilkash ada tere kumlae hue phulon mein hai bu-e-wafa tu hai dariya-e-muqaddas tu ki hai isyan se pak tera daman hai abhi aalaish-e-insan se pak teri shaukat ke hain shahid ai wafadar-e-kuhan tere burjon aur tere qilon ke aasar-e-kuhan tere sahil se tapakti ab bhi hai shan-e-buland aasman-farsa hain ab bhi tere aiwan-e-buland tere farsuda nishan hain naqsh-e-naz-e-husn-o-ishq teri maujon mein nihan hai aah-e-raaz-e-husn-o-ishq aah o rangin-ada o dilli wali naznin o do-alam ke hasinon se nirali naznin yaad-e-ayyame ki dilkash the tere naqsh-o-nigar din muradon ke the aur josh-e-jawani ka ubhaar chadh ke jab minar par ek la'bat-e-naz-afrin dekhti thi teri maujon ki ada-e-dil-nashin wo kaf-e-sailab wo shor-e-talatum hae hae teri maujon ka wo andaz-e-tabassum hae hae dhimi dhimi wo teri raftar bal khai hui wo nazar jhenpti hui chitwan wo sharmai hui wo surili naghma-e-josh-e-talatum ki sada aah wo dilkash tere saz-e-tarannum ki sada brij ki o pak-daman o muqaddas naznin naqsh hai dil par teri ek ek ada-e-dil-nashin ab kahan jamuna teri maujon ki mastana wo chaal ab kahan pani ke jharne aur wo lutf-e-barshgal ab kahan chhota sa wo radha ka kunj-e-khush-gawar ab kahan wo aah mathura tere phulon ki bahaar ab kahan wo bansi wale ki ada-e-jaan-nawaz ab kahan wo aah murli ki sada-e-jaan-nawaz ab kahan wo khalwat-e-raaz-o-niyaz-e-husn-o-ishq be-sada zer-e-zamin hain aah saz-e-husn-o-ishq o talawwun-kesh o kafir-ada aur dun-shiar tu ne badle rang lakhon aah waz-e-rozgar khak uth kar aah sar par daman-e-sahil uda tukde tukde kar jigar ko para-ha-e-dil uda sozish-e-gham se pighal ja aah ai reg-e-rawan zarre zarre mein tere taswir-e-ibrat hai nihan ab kahan wo kunj-e-dil-kash ab kahan radha ka aish hai ba-rang-e-khanda-e-gul be-baqa duniya ka aish ai khusha qismat teri jamuna khusha tere nasib wah-wa tere muqaddar wah-wa tere nasib tu ne dekhi hai bahut din murli wale ki ada donon-alam ke hasinon se nirale ki ada aur suni bansi ki hai barson sada-e-dil-nawaz dastan-e-dard-e-dil afsana-e-soz-o-gudaz mahsharisatan-e-alam kambakht hai kar dil ko chaak chir pahlu ko ki niklen nala-ha-e-dard-nak ta-kuja ye sar-guzasht-e-dastan-e-dard-o-gham chhed ai jamuna koi taza bayan-e-dard-e-gham ho na lekin aah tera shor-e-matam dil-kharash tere nalon ki sada yani ho kam kam dil-kharash ai lab-e-sahil suna siton ki ismat ka bayan parda-e-afsana mein soz-e-mohabbat ka bayan tere pahlu mein hai ye kis hur-wash ki yaadgar jis se raaton ko utha karte hain aahon ke sharar aah farsuda-nishan-e-ismat-e-jaan-baz tu kis pari-paikar ka hai naqsh-e-wafa-e-naz tu hai teri tamir mein muzmar wahi shan-e-wafa teri har khisht-e-kuhan hai jauhar-e-kan-e-wafa ghul na kar aahista aahista ho ai jamuna rawan taj-e-ismat ka yahan har ek dur-e-yakta nihan ai zahe shaukat teri jamuna zahe ezaz-o-shan tujh pe lahraya kiya islam ka sadiyon nishan hae wo turkon ke daste aur sanginon ki shan tirchhe-banke wo jawan wo chaar aainon ki shan be-sada zer-e-zamin hai bazm-e-shahan-e-ghayur aah jamuna tujh mein lekin hai wahi shan-e-ghurur aah o shikwa-taraaz-e-dast bedad-e-ajal ro na khun-e-arzu o mahw-e-fariyaad-e-ajal aah is dar-e-fana mein hai baqa kis ke liye chhodne wala hai shahin-e-qaza kis ke liye aah us khwab-e-shabana ka hai mujh ko intizar us surur-e-ashiqana ka hai mujh ko intizar teri ek ek mauj thi jab aah tufan-kosh-e-shauq halqa-e-girdab tha jab haala-e-aghosh-e-shauq jab kisi ke gesu-e-pur-kham ki saudai thi tu aur lab-e-sahil pe rauza ki tamashai thi tu aah jamuna tujh ko daur-e-pastani ki qasam shaukat-e-derina-e-sahib-qirani ki qasam kya na honge tujh ko wo dilkash manazir phir nasib azmat-e-islam ke agle mazahir phir nasib ho ke muztar aah josh-e-iztirab-e-dil se kya yunhi takraya karegi sar ko tu sahil se kya kaun ye parda-nashin hai tere daman mein nihan kis ka chehra hai naqab-e-zulf-e-pur-fan mein nihan teri maujon mein hai ye kis ki sada-e-dil-fareb ga rahi hai kaun ye ghaarat-gar-e-sabr-o-shakeb khana-e-dil mein hai tere kaun mahw-e-raqs-e-naz aa rahi hai kis ki chhagal ki sada-e-jaan-nawaz wo saman-andam hai ye shahid-e-parda-nashin jis ke phulon mein hai ab tak bu-e-firdaus-e-barin huren aa kar khuld se tauf-e-mazar-e-pak ko jhadti palkon se hain gard-o-khas-o-khashak ko aah ai naqsh-e-nigar-e-shaukat-e-ahd-e-kuhan aah ai aaina-dar-e-shaukat-e-ahd-e-kuhan hum ne nana tujh mein ab wo shan-e-barnai nahin wo ghurur-e-husn wo tamkin wo ranai nahin hum ne mana tere chehre ki ziya jati rahi teri maujon ki wo mastana ada jati rahi munh pe gumnami ka aanchal le na ai parda-nashin yun hi sargarm-e-khiram-e-naz rah ai naznin sar ko takraya kare sahil se sail-e-rozgar teri shohrat ke nishan sadiyon rahenge yaadgar