jang aur neki

ghaur ke qabil hai duniya ka nizam
is ka har zarra hai ibrat ka maqam

jang se hoti hai paida muflisi
muflisi se amn ho jata hai aam

amn mein qaumen kahan leti hain mal
mal se badhta hai kibr ai nek-nam

kibr hai phir pesh-khema jang ka
bas yahi chakkar hai jari subh-o-sham

aae din hoti hain yun tabdiliyan
koi aaqa ban gaya koi ghulam

aadmi ko zindagi mein chahiye
har ghadi karta rahe neki ke kaam

nekiyon ka 'faiz' jari ho agar
khud-bakhud mit jaen ye jhagde tamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close