dekho to is mod ke aage chhota sa school hamara lambi si diwar ke andar rang rangila pyara pyara kitne hi to phul khile hain paude bhi kya khub lage hain ghanti ke bajne ki sadaen hamd-e-khuda phir rab se duaen hae yakayak ek dhamaka hum sab ka dil dahla jata kale kale bam ke gole maut tabahi jang ke shoale zan zan niche aa jate hain kaisi tabahi phailate hain chhat school ki gir jati hai mez pe mitti bhar jati hai aur paude bhi kumhla jate phul sisakte aahen bharte shahr mein har su maut tabahi jang ke shoale hitler-shahi galiyan sadken viran viran jaise har shai hairan hairan ammi aur abba bhi pareshan har-ja maut ka shaitan raqsan jang ka matlab aahen aansu jang ka matlab khun lahu