aasmanon ke tale sabz-o-khunuk goshon mein koi hoga jise ek saat-e-rahat mil jae ye ghadi tere muqaddar mein nahin hai na sahi aasmanon ke tale talkh-o-siyah rahon par itne gham bikhre pade hain ki agar tu chun le koi ek gham teri qismat ko badal sakta hai aasmanon ke tale talkh-o-siyah rahon par tu agar dekhe to khushiyon ki gurezan sarhad soz-e-yak-gham se shakeb-e-gham-e-digar tak hai zindagi qahr sahi zahr sahi kuchh bhi sahi aasmanon ke tale talkh-o-siyah lamhon mein jura-e-sam ke liye iffat-e-lab lazim hai aur tu hai ki tere jism ka saya bhi najis tu agar chahe to in talkh-o-siyah rahon par ja-ba-ja itni tadapti hui duniyaon mein itne gham bikhre pade hain ki jinhen teri hayat qut-e-yak-shab ke taqaddus mein samo sakti hai kash tu hila-e-jarub ke par noch sake kash tu soch sake soch sake