salgirah khargosh manae jangal ke sab sathi aae bhid lagi hai mehmanon ki kuchh apnon kuchh beganon ki sher dahaden marta aae hathi bhi chinghadta aae kutta bhaun bhaun karta aaya sanbhar chaukdi bharta aaya gay jab rambhati aai bakri kuchh sharmati aai nachta gata aaya bhaalu dolta aaya meindha kalu ghoda sarpat dauda aaya bhainson ka ek joda aaya hirni aai lomdi aai billi apne bachche lai sath mein sab hi lae tohfe sab khargosh ne pae tohfe phulon ka guldasta le kar chin chin karta aaya bandar cake bana ke laya chita us ne dil khargosh ka jita cake kata to sare khush the cake bata to sare khush the ek duje se gale mile sab bhul ke shikwe aur gile sab bandar nache bhaalu gae kalu meindha dhol bajae salgirah ka jashn bapa hai jangal jangal shor hua hai