jaan-e-hindostan tha nehru jaise us ki zaban mein tha jadu wo wajahat wo shan thi us mein waqai aan-ban thi us mein amn-e-alam ka wo payami tha al-gharaz dosti ka hami tha hind ke aasman ka tara tha hum ko us ne bahut sanwara tha ruh-parwar rukh-o-jamal us ka raushni irtiqa khayal us ka lams-e-gul se raha moattar bhi lal bhi wo tha aur jawahar bhi ilm-o-hikmat se pyar karta tha aql wo ikhtiyar karta tha lab pe jai hind us ke nara tha lena aazadi sirf mansha tha nur-afza hain yun karam us ke naqsh mein har taraf qadam us ke har nafas ehtiram karte hain hum use sab salam karte hain rang us ne diya fasane ko raushni de gaya zamane ko wo ki bachchon ko sab se pyara tha wo mohabbat ka istiara tha